ishq-e-jaan-e-jahan nasib hua ek zamana mera raqib hua mar gae hum masih ke dam mein ye bhi ek waqia ajib hua un se kah do ki aap par aashiq bekas-o-be-watan gharib hua na sune nale kya kisi gul ne tujh ko kya ranj andalib hua pas aadab-e-husn-e-yar raha ishq mere liye adib hua jab nakirain ne sawal kiye ya-ali kah ke main mujib hua mera sar hoga aur un ke panw yawar apna agar nasib hua jab hua qabr mein sawal ai 'mehr' ya-ali kah ke main mujib hua