sabhi ye puchhte rahte hain kya gum ho gaya hai bata dun? mujh se khud apna pata gum ho gaya hai tumhaare din mein ek rudad thi jo kho gai hai hamari raat mein ek khwab tha, gum ho gaya hai wo jis ke pech-o-kham mein dastan lipti hui thi kahani mein kahin wo majra gum ho gaya hai zara ahl-e-junun aao hamein rasta sujhao yahan hum aql walon ka khuda gum ho gaya hai nazar baqi hai lekin tab-e-nazzara nahin ab sukhan baqi hai lekin muddaa gum ho gaya hai mujhe dukh hai ki zakhm o ranj ke is jamghate mein tumhaara aur mera waqia gum ho gaya hai ye shiddat dard ki us ke na hone se na hoti yaqinan aur kuchh us ke siwa gum ho gaya hai wo jis ko khinchne se zat ki parten khulengi hamari zindagi ka wo sira gum ho gaya hai wo dar wa ho na ho, aazad o khud-bin hum kahan ke palat aaen to samjho rasta gum ho gaya hai