wahan karta rahunga ab yahan karta rahunga rahunga main jahan be-tabiyan karta rahunga kabhi main aasmanon ko zamin par lad dunga kabhi apni zamin ko aasman karta rahunga mili hai zindagi mujh ko to kuchh karna hi hoga yaqin karta rahunga ya guman karta rahunga milega mulk-e-khubi ya mata-e-sargirani main apne nam ka sikka rawan karta rahunga sunaunga kabhi qisse purane marakon ke kabhi tasnif tazon dastan karta rahunga karunga kuchh jatan un ko misali bhi banaun agar aabaad taza bastiyan karta rahunga main khud sahil pe baithunga kinar-e-afiyat mein ijare par safinon ko rawan karta rahunga hamein ab nind mein bhi jagte rahna padega ki us ne kah diya hai imtihan karta rahunga agar likhwaoge khat us ko tum mere qalam se ye khidmat muft mein ai mehrban karta rahunga rahe wo gosh-bar-awaz ya so jae 'midhat' ye mera qissa-e-gham hai bayan karta rahunga