is dil ko kya kahen ki jidhar tha udhar na tha tha jis pe eatibar wahi mo'atabar na tha the rah mein hazar koi rah par na tha hamrah to bahut the koi ham-safar na tha ahl-e-hawas tamam the aaghosh wa kiye par apni tarah ek bhi sina-sipar na tha parwaz thi faza-e-zaman-o-makan se dur main be-niyaz-e-dahr tha be-baal-o-par na tha har-su basi hui thi magar dhundte kahan khushbu ka koi rang na tha koi ghar na tha apni hi kuchh kami thi jo nakaam hum hue dil kar-band-e-shauq to tha kar-gar na tha 'baqar' hawa-e-shauq udae phiri mujhe main khanuman-kharab sahi dar-ba-dar na tha