pas-e-adab mujhe unhen sharm-o-haya na ho nazzara-gah mein asar-e-ma-siwa na ho mana meri qubul nahin hai dua na ho itna hi ho ki us pe asar ghair ka na ho kyun kar kahun ki pas unhen ghair ka na ho jo ghusse mein bhi kahte hain tera bura na ho is parde mein to kitne gireban chaak hain wo be-hijab hon to khuda jaane kya na ho takiye mein kya rakha hai khat-e-ghair ki tarah dekhun to main nawishta-e-qismat mera na ho mil kar gale wo karte hain khanjar ki tarah kat is par bhi kah raha hun ki mujh se juda na ho musa ka haal dekh ke dil kanpne laga ab to dua hai un se mera samna na ho wo bar bar mera lipatna shab-e-visal un ka jhijak ke kahna koi dekhta na ho 'bedam' ki zindagi hai isi chhed-chhad mein tark-e-wafa ki tarah se tark-e-jafa na ho