raat hui phir hum se ek nadani thodi si dil sarkash tha kar baitha man-mani thodi si thodi si sarshaari ne di gahri dhund mein rah baham hui aaankhon ko tab aasani thodi si bichhda wo to laut aane ki rah na khoti ki kunj mein dil ke chhod gaya virani thodi si ya-rab phir se bhej tilism-e-hosh-ruba koi waqt ata kar phir hum ko hairani thodi si hum aaise be-maya kab the hathon-hath biken bazaron tak le aai arzani thodi si nai ghazal ka rup naya ho lekin aisa ho ghazlon mein ho aaina-samani thodi si us ke chaal-chalan par mat ja yar 'mujibi' tu yun bhi jawani hoti hai diwani thodi si