kya ye bhi main batla dun tu kaun hai main kya hun tu jaan-e-tamasha hai main mahw-e-tamasha hun tu bais-e-hasti hai main hasil-e-hasti hun tu khaliq-e-ulfat hai aur main tera banda hun jab tak na mila tha tu ai fitna-e-do-alam jab dard se ghafil tha ab dard ki duniya hun kuchh farq nahin tujh mein aur mujh mein koi lekin tu aur kisi ka hai bedard main tera hun muddat hui kho baitha sarmaya-e-taskin main ab to teri furqat mein din raat tadapta hun arman nahin koi go dil mein mere lekin allah ri majburi majbur-e-tamanna hun 'bahzad'-e-hazin mujh par ek kaif sa tari hai ab ye mera aalam hai hansta hun na rota hun