phulon se hogi dhul juda dekhte raho manzar nikhaar degi hawa dekhte raho laegi rang laghzish-e-pa dekhte raho manzil bhi degi apna pata dekhte raho han bazm mein kisi ke gareban-e-gosh tak pahunchega mera dast-e-sada dekhte raho nindon mein kho ke sipiyan khwabon ki dosto chunne ko hai ye dida-e-wa dekhte raho kab aaftab-e-taza ki pahli shua se hoti hai chaak shab ki rida dekhte raho us kaj-ada ki samt ba-in jaur-e-mustaqil 'asif' ba-tarz-e-ahl-e-wafa dekhte raho