iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya

iztirab-e-dil mein aa ja kar dawam aa hi gaya
zindagi ko ek haalat par qayam aa hi gaya

ittifaqan is gali se le badhi umr-e-rawan
main to samjha tha ki ab mera maqam aa hi gaya

ho gai aawaragardi be-ghari ki parda-dar
kaam jitna hum ko aata tha wo kaam aa hi gaya

bandagi-amoz bazm-e-zindagi bechaargi
aadmi ko jab gharaz atki salam aa hi gaya

intizam-e-roz-e-ishrat aur kar ai na-murad
id aati hi rahi mah-e-siyam aa hi gaya

rind jaane rind ka iman jaane shaghl-e-rind
pand-go ke munh tak aana tha haram aa hi gaya

ho gaya tark-e-talab ka nam ijz-e-hausla
jis se hum darte rahe wo ittiham aa hi gaya

ab kahen kis se ki un se baat karna hai gunah
jab kalam aaya zaban par la-kalam aa hi gaya

awwal awwal khub daudi kashti-e-ahl-e-hawas
aakhir aakhir dub marne ka maqam aa hi gaya

rifat-e-hasti ko pasti ne dikhaya aasman
jhonpadon tak unche mahlon se salam aa hi gaya

aa gaya hai ai falak zarron ko ehsas-e-khudi
main samajhta hun ki waqt-e-intiqam aa hi gaya

wo musalsal ab kahan tabani-e-roz-e-nashat
rah-raw-e-maghrur dekha waqt-e-sham aa hi gaya

hashr se achchha raha ek fitna-e-mahshar-khiram
phir tamam aata na aata na-tamam aa hi gaya

talkh-kaam afzaish-e-shirini-e-ishrat hui
aate aate ho ke zahr-alud jam aa hi gaya

baat kya chhupti ki tha apna juda tarz-e-kalam
nam aaya bhi na tha 'natiq' ki nam aa hi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close