is ghar mein mere sath basar kar ke to dekho tuti hui kashti mein safar kar ke to dekho dharti se bichhadne ki saza kahte hain kis ko tufan mein jaziron pe nazar kar ke to dekho khwabon ko salibon pe saja paoge har su aankhon ke bayaban se guzar kar ke to dekho mumkin hai ki neze pe utha le koi badh kar maqtal ke hawale zara sar kar ke to dekho shayad ke ubhar aaen gharon ke dar-o-diwar us rakh ko tum ashkon se tar kar ke to dekho