jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha

jab jab main zindagi ki pareshaniyon mein tha
apnon ke bawajud bhi tanhaiyon mein tha

aabaadiyon ne sare bharam hi mita diye
is se ziyaada khush to main viraniyon mein tha

sahil pe jo khade the unhen mauj le gai
main bach gaya ki yar main tughyaniyon mein tha

aasaniyon mein zist hi be-kaif ho gai
jine ka asl lutf to dushwariyon mein tha

karta bhi kya kisi se shifa ki koi umid
sara ka sara shahr hi bimariyon mein tha

jo sada-lauh the wo nasibon mein rah gae
chaalak jo bhi shakhs tha achchhaiyon mein tha

kuchh aap hi ne ghaur se dali nahin nazar
mera bhi nam aap ke shaidaiyon mein tha

baaten to satta par yun bahut si huin magar
mera dimagh jhil ki gahraiyon mein tha

'nayab'-bhai ban ke gale jo mila tha kal
us shakhs ka shumar bhi dangaiyon mein tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close