jab se hayat KHugar-e-alam ho gai

jab se hayat khugar-e-alam ho gai
daman-kashidgi ki faza aam ho gai

nikle the waqt-e-subh badi ehtiyat se
do hi qadam chale the ki phir sham ho gai

aaya hun shahrah-e-haqiqat se laut kar
marne ki aarzu thi jo nakaam ho gai

dekhe hain hum ne aise haqiqat-pasand log
jin ki ki zehniyat bhi siyah-fam ho gai

izhaar-e-ehtijaj pe ye kali pattiyan
taskin-e-zauq-e-khidmat-e-islam ho gai

is ahd-e-intishaar mein pahchaniye kise
tashkhis-e-shahriyat bhi to nilam ho gai

'hamid' mazaq-e-did na hone ke bawajud
chashm-e-pur-iztirab lab-e-baam ho gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close