ishq gar donon jahan mein kaamran hota nahin ye zamin hoti nahin ye aasman hota nahin jo bhatak jata hai manzil se wufur-e-shauq mein dar-haqiqat wo hamara karwan hota nahin ishq kahte hain jise ek aatish-e-khamosh hai dil hi dil mein jo sulagti hai dhuan hota nahin shama par kis shan se gir kar patange ne kaha ishq mein andesha-e-sud-o-ziyan hota nahin khauf-e-roz-e-hashr hai us ko na kuchh fikr-e-jaza zindagi mein jis ko marne ka guman hota nahin zindagi mein har qadam par thokaren khain magar dil ke aaine pe aks-e-gham ayan hota nahin 'dard' mere ishq ne un ko numayan kar diya warna duniya mein kahin nam-o-nishan hota nahin