os padi thi raat bahut aur kohra tha garmaish par saili si khamoshi mein aawaz suni farmaish par fasle hain bhi aur nahin bhi napa taula kuchh bhi nahin log ba-zid rahte hain phir bhi rishton ki paimaish par munh moda aur dekha kitni dur khade the hum donon aap lade the hum se bas ek karwat ki gunjaish par kaghaz ka ek chand laga kar raat andheri khidki par dil mein kitne khush the apni furqat ki aaraish par dil ka hujra kitni bar ujda bhi aur basaya bhi sari umr kahan thahra hai koi ek rihaish par dhup aur chhanw bant ke tum ne aangan mein diwar chuni kya itna aasan hai zinda rahna is aasaish par shayad tin nujumi meri maut pe aa kar pahunchenge aisa hi ek bar hua tha isa ki paidaish par