is ishq ke hathon se hargiz na mafar dekha utni hi badhi hasrat jitna hi udhar dekha tha khel sa pahle ishq lekin jo khulin aankhen duba hua rag rag mein wo tir-e-nazar dekha sab ho gai uth uth kar ek baz nisar shama parwanon ne kya jaane kya waqt-e-sahar dekha wo ashk bhari aankhen aur dard bhare nale allah na dikhlae jo waqt-e-sahar dekha qurban teri aankhon ke sadqe tari nazron ke tha hasil-e-sad-nawak jo zakhm-e-jigar dekha jate rahe dam-bhar mein sare hi gile shikwe us jaan-e-taghaful ne jab ek nazar dekha ahd-e-gham-e-furqat mein dil aur jigar kaise ek zakhm idhar paya ek dagh udhar dekha tha bais-e-ruswai har-chand junun mera un ko bhi na chain aaya jab tak na idhar dekha is chashm ghazalen ko mai-khana dil paya us ru-e-nigarin ko firdaus-e-nazar dekha yun dil ko tadapne ka kuchh to hai sabab aakhir ya dard ne karwat li ya tum ne idhar dekha kya jaaniye kya guzri hangam-e-junun lekin kuchh hosh ho aaya to ujda hua ghar dekha mathe pe pasina kyun aankhon mein nami kaisi kuchh khair to hi tum ne kya haal-e-jigar dekha kanta tha chashm-e-yas mein ek ek rag-e-gul mere liye chaman bhi bayaban nikal gaya dast-e-junun ka zof se uthna muhaal tha kya jaane kis tarah se gareban nikal gaya dil mein to aag hi wahi ab tak lagi hui mana ki chashm-e-shauq ka arman nikal gaya josh-e-junun se kuchh na chali zabt-e-ishq ki sau sau jagah se aaj gareban nikal gaya