is takalluf se na poshak-e-badan-gir mein aa khwab ki tarah kabhi khwab ki tabir mein aa main bhi ai surkhi-e-be-nam tujhe pahchanun tu hina hai ki lahu paikar-e-taswir mein aa is ke halqe mein tag-o-taz ki wusat hai bahut aahu-e-shahar, meri banhon ki zanjir mein aa chaara-gar khair se khush-zauq hai ai meri ghazal kaam ab tu hi mere dard ki tashhir mein aa wo bhi aamada bahut din se hai sunne ke liye ab to ai harf-e-talab mariz-e-taqrir mein aa ek rang aakhiri manzar ki dhanak mein kam hai mauj-e-khun uth ke zara arsa-e-shamshir mein aa