mere raat din kabhi yun bhi the kai KHwab mere darun bhi the

mere raat din kabhi yun bhi the kai khwab mere darun bhi the
ye jo roz-o-shab hain qarar mein yahi pahle waqf-e-junun bhi the

mera dil bhi tha kabhi aaina kisi jam-e-jam se bhi mawara
ye jo gard gham se hai bujh gaya isi aaine mein fusun bhi the

ye maqam yun to fughan ka tha pa hanse ki taur jahan ka tha
tha bahut kada ye maqam par kai ek is se fuzun bhi the

abhi aql aa bhi gai to kya abhi hans diye bhi to kya hua
hami dasht-e-ishq-e-naward the hami log ahl-e-junun bhi the

ye jo sail-e-gham sar-e-chashm-e-nam hai rawan-dawan kai roz se
use kya khabar isi dasht mein kai khwab mahw-e-sukun bhi the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close