ulfat ho to ulfat ke sahaare bhi bahut hain aankhon mein mohabbat ke ishaare bhi bahut hain himmat hai to mayus na ho dubne wale tufan hain maujon ke sahaare bhi bahut hain ai jalwa-e-rangin ke ziya dekhne walo hon aankh agar un ke nazare bhi bahut hain apnon ne to mear-e-wafa hi na bataya is rah mein ehsan tumhaare bhi bahut hain ji bhar ke zara dekh to lun dur se gul-rang saqi mujhe itne hi sahaare bhi bahut hain us bazm ki ranginiyan hain did ke qabil ek chand agar hai to sitare bhi bahut hain hai kaun 'safir' aisa jo ban jae sahaara dil todne wale to hamare bhi bahut hain