puchhte kya ho jo haal-e-shab-e-tanhai tha rukhsat-e-sabr thi ya tark-e-shakebai tha shab-e-furqat mein dil-e-gham-zada bhi pas na tha wo bhi kya raat thi kya aalam-e-tanhai tha main tha ya dida-e-khun-naba-fishani shab-e-hijr un ko wan mashghala-e-anjuman-arai tha para-ha-e-dil-e-khunin ki talab thi paiham shab jo aaankhon mein meri zauq-e-khud-arai tha rahm to ek taraf paya-shanasi dekho qais ko kahte hain majnun tha sahrai tha aanhken qatil sahi par zinda jo karna hota lab pe ai jaan tu eajaz masihai tha khun ro ro diye bas do hi qadam mein chhaale yan wahi hausla-e-baadiya-paimai tha dushman-e-jaan the udhar hijr mein dard-o-gham-o-ranj aur idhar ek akela tera shaidai tha ungliyan uthti thin mizhgan ki usi rukh paiham jis taraf bazm mein wo kafir-e-tarsai tha kaun is rah se guzra hai ki har naqsh-e-qadam chashm-e-ashiq ki tarah us ka tamashai tha khub waqt aae nakirain jaza dega khuda lahd-e-tira mein bhi kya aalam-e-tanhai tha hum ne bhi hazrat-'shibli' ki ziyarat ki thi yun to zahir mein muqaddas tha pa shaidai tha