is qadar gham hai ki izhaar nahin kar sakte ye wo dariya hai jise par nahin kar sakte aap chahen to karen dard ko dil se mashrut hum to is tarah ka bewpar nahin kar sakte jaan jati hai to jae magar ai dushman-e-jaan hum kabhi tujh pe koi war nahin kar sakte jitni ruswai mili aap ki nisbat se mili aap is baat se inkar nahin kar sakte aap kar sakte hain khushbu ko saba se mahrum aur kuchh sahab-e-kirdar nahin kar sakte ek zanjir si palkon se bandhi rahti hai phir bhi ek dasht ko gulzar nahin kar sakte ye gul-e-dard hai is ko to mahakna hai huzur aap khushbu ko giraftar nahin kar sakte