wahshat mein dil kitna kushada karna paDta hai

wahshat mein dil kitna kushada karna padta hai
in gili aankhon ko sahra karna padta hai

mujh ko ek aawaz teri sunne ki koshish mein
kitne sannaton ka pichha karna padta hai

tab khulti hai hum par qadr-o-qimat phulon ki
jab kanton ke sath guzara karna padta hai

yar bada ban kar rahna aasan nahin hota
apne aap ko kitna chhota karna padta hai

koh-e-giran hail hota hai jis ke raste mein
ek din us ko tez dhamaka karna padta hai

apne ghar ki baaten 'azim' ghar tak rakhne mein
diwar-o-dar se samjhauta karna padta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close