is qadar naz hai kyun aap ko yaktai ka dusra nam hai wo bhi meri tanhai ka kya chhupe raaz ilahi dil-e-shaidai ka arsa-e-hashr to bazar hai ruswai ka jaan le jaega aana shab-e-tanhai ka kaun ab rokne wala hai meri aai ka khugar-e-ranj-o-bala hashr ke din kya khush hon ki wo mal aaj hua hai shab-e-tanhai ka zinda hai nam shahadat ka usi ke dam se tere kushte ne kiya kaam masihai ka har gali kuche mein pamal use ho jaana dil hai ya naqsh-e-qadam hai kisi harjai ka is adab se tah-e-shamshir tadapna ai dil ki guman teri tapish par ho shakebai ka fitne bhi qaede se uthte hain jab uthte hain kya saliqa hai tumhein anjuman-arai ka wo ye kahte hain mera sabr padega tujh par ab mujhe ranj nahin apni shakebai ka kya gharaz hai meri taqdir ko mujh se puchhe aabru ka hai talabgar ki ruswai ka wan shab-e-wada mali panw mein mehndi us ne yan kaleja koi malta hai tamannai ka raat bhar shama rahi hijr mein wo bhi khamosh multaji tha teri taswir se goyai ka sar mera kat ke dahliz par apni rakh do shauq baqi hai abhi nasiya-farsai ka yun na maqbul hua hoga kisi ka sajda but ko arman raha meri jabin-sai ka ho gaya partaw-e-rukhsar se kuchh aur hi rang main ne munh chum liya us ke tamashai ka tham gae jam gae aankhon mein lahu ke qatre khun zahir hai mere sabr o shakebai ka ban gaya dagh-e-jigar mehr-e-qayamat ai 'dagh' par abhi rang wahi hai shab-e-tanhai ka