jab wo but ham-kalam hota hai dil o din ka payam hota hai un se hota hai samna jis din dur hi se salam hota hai dil ko rokun ki chashm-e-giryan ko ek hi khub kaam hota hai aap hain aur majma-e-aghyar roz darbar-e-am hota hai zist se tang hain na chhed hamein dekh ghussa haram hota hai lije musa se lan-tarani ki ab to hum se kalam hota hai 'dagh' ka nam sun ke wo bole aadmi ka ye nam hota hai