jo khili chaman mein nai kali to wo jashn-e-saut-o-sada hua kahin bulbulen huin naghma-zan kahin raqs-e-baad-e-saba hua koi phul khushbu se chur sa koi rang halqa-e-nur sa koi husn ghairat-e-hur sa tere nam sara likha hua wo bichhad gaya to pata chala ki tha sakht kitna ye hadisa gaya nur jaise charagh ka ki badan se aks juda hua jo sawar rah-e-ziyan ke the kahin nam ab ke na kar sake na junun mein surkh hui zamin na sukun mein dasht hara hua meri jang mere hi sath thi ki harif bhi tha halif bhi kabhi doston mein ghira hua kabhi dushmanon se mila hua wo hawa chali ki mere chaman hue rakh aur dhuwen ke ban ki hare shajar bhi sulag uthe ye bhari bahaar mein kya hua