ishq shabnam nahin sharara hai raaz ye mujh pe aashkara hai ek karam ki nigah kar dije umr-bhar ka sitam gawara hai raqs mein hain jo saghar-o-mina kis ki nazron ka ye ishaara hai aisi manzil pe aa gaya hun dost tere gham ka faqat sahaara hai laut aae hain yar ke dar se waqt ne jab hamein pukara hai dil na tute to zarra-e-nachiz kimiya hai jo para para hai jam-e-rangin mein un ka aks-e-jamal ya shafaq mein koi sitara hai naw takra chuki hai tufan se apna murshid hi ab sahaara hai ishq karna hai mat kha jaana us mein jita hua bhi haara hai apne 'darshan' pe ek nigah-e-karam ki gham-e-zindagi ka mara hai