jaane aaya tha kyun makan se main kya kharidunga is dukan se main ho gaya apni hi ana se halak dab gaya apni hi chatan se main ek rangin si baghawat par kat gaya sare khandan se main roz baaton ke tir chhodta hun apne ajdad ki kaman se main mangta hun kabhi laraz ke dua kabhi ladta hun aasman se main ai mere dost thak na jaun kahin teri aawaz ki takan se main darta rahta hun khud bhi 'azhar'-khan apne andar ke is pathan se main