is sadi ka jab kabhi khatm-e-safar dekhenge log waqt ke chehre pe khak-e-rahguzar dekhenge log tukhm-rezi kar raha hun main isi ummid par phulte phalte hue kal ye shajar dekhenge log aql-e-insani ki jis din intiha ho jaegi khatm hote chand suraj ka safar dekhenge log kanch ki diwar patthar ke sutun lohe ki chhat har jagah har shahr mein aisa hi ghar dekhenge log jurat-e-parwaz ke anjam se waqif hun main khun mein duba hua ye baal-o-par dekhenge log kya isi din ke liye mangi thi phulon ki dua shabnami-mausam mein bhi raqs-e-sharar dekhenge log khatm hum par hain shab-e-zindan ki sari sakhtiyan zehn o dil aazad hoga wo sahar dekhenge log anjuman ko faiz pahunchaegi sham-e-anjuman kya hasin hoti hai umr mukhtasar dekhenge log 'ramz' main apni zaban se kuchh nahin batlaunga kis taraf uthti hai ye meri nazar dekhenge log