lafz-o-mani ke samundar ka safar hain kuchh log yar is daur mein bhi ahl-e-nazar hain kuchh log ye haqiqat hai ki bachchon ki zarurat ke liye surat-e-silsila-e-gard-e-safar hain kuchh log hum ne to un se kabhi haq ke siwa kuchh na suna jurm kya un ka hai kyun shahr-badar hain kuchh log nur chehre pe to baaton mein mahak hoti hai chand ka aks hain khushbu ka nagar hain kuchh log kitne pagal hain ki rajat ko taraqqi samjhe aasmanon ki taraf mahw-e-safar hain kuchh log