is safai se meri baat ka pahlu kaTe

is safai se meri baat ka pahlu kate
rasta khushbu ke liye jis tarah khushbu kate

ilm hoga shab-e-hijran ki tawalat ka tujhe
meri manind jo ek raat kabhi tu kate

baad mein aae sabhi mujh se baghal-giri ko
mil ke ahbab ne pahle mere bazu kate

sina-e-shab pe ziyaon ki daraden ubhrin
tisha-e-azm se yun rah ko jugnu kate

zahr-e-mahaul se pur hai mere tan ka kasa
kyon na mar jae wahin mujh ko jo bichchhu kate

un ke sae mein raqib aa ke mabaada baithen
sab ke sab us ne shajar the jo lab-e-ju kate

apne zakhmon ko ye sahlaegi mahshar tak 'jaan'
din tan-e-zist mein yun ho ke taraazu kate


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close