is se pahle ki sar utar jaen hum udasi mein rang bhar jaen zakhm murjha rahe hain rishton ke ab uthen doston ke ghar jaen gham ka suraj to dubta hi nahin dhup hi dhup hai kidhar jaen apna ehsas ban gaya dushman jab bhi chaha ki zakhm bhar jaen war chaaron taraf se hain hum par shayad is marke mein sar jaen samna dushmanon se ho jab bhi aap hanste hue guzar jaen koi surat nikaliye 'danish' bastiyan khushbuon se bhar jaen