jo tere pahlu mein guzri zindagi achchhi lagi gham tera achchha laga teri khushi achchhi lagi yas ke mausam mein us ki dil-lagi achchhi lagi aankh nam ho kar bhi honton par hansi achchhi lagi dukh bhi us ki rah mein hain sukh bhi us ki rah mein maut se har aadmi ko zindagi achchhi lagi hadse par hadse hi ho rahe hain kya khabar aasman wale ko meri bebasi achchhi lagi ho gae gumrah wo aa kar tumhaare shahr mein sab ko us tahzib-e-nau ki raushni achchhi lagi khwab ki wadi mein tanha phir raha hun roz-o-shab dosti achchhi na mujh ko rahbari achchhi lagi jagti aankhon se sahir dekhta hun dahr ko gulistan mein khilne wali har kali achchhi lagi