is tag-o-dau ne aakhirash mujh ko nidhaal kar diya jine ke ehtimam ne jina muhaal kar diya ab hum asir-e-zulf hain kis ke kisi ko kya gharaz us ne to apni qaid se hum ko bahaal kar diya bazm-e-tarab sajaen kya ab hum hansen hansaen kya tum ne to hum ko jaan-e-jaan waqf-e-malal kar diya sher o sukhan ka ek hunar rakhte the hum so shukr hai kuchh dil ki baat kah sake kuchh arz-e-haal kar diya kuchh ishq wishq ho gaya kuchh sher wer kah liye karne ka koi kaam to 'rashid' jamal kar diya