khamosh jhil mein girdab dekh lete hain samundaron ko bhi payab dekh lete hain zara jo azmat-e-rafta pe harf aane lage to ek bachi hui mehrab dekh lete hain uchatti nind se hasil bhi aur kya hoga kate phate hue kuchh khwab dekh lete hain hamein bhi jurat-e-guftar hone lagti hai jo un ke lahje ko shadab dekh lete hain safar ka azm to baqi nahin raha 'rashid' bas ab bandha hua asbab dekh lete hain