sitare palkon pe jalwa-gar the shikast-e-azm-e-fughan se pahle gham-e-nihan se zamana waqif tha sharh-e-soz-e-nihan se pahle hamari hi sai-e-justaju ne suragh-e-manzil diya jahan ko talash-e-manzil mein hum rawana hue the har karwan se pahle pasand aaya na bijliyon ko koi jo kartin tawaf un ka mile kai aur bhi nasheman unhen mere aashiyan se pahle sitam-rasidon ki anjuman mein chhide hain jab zalimon ke charche tumhaara nam aa gaya hai aksar zaban par aasman se pahle unhen ye zid hai sunenge meri zaban se mera fasana-e-gham main sochta hun fasana-e-gham sunaun bhi to kahan se pahle tumhaari khalwat-kade ke parde uthe hue hain durust lekin chhuda to lun daman-e-nazar ko tahayyur-e-be-karan se pahle gharaz ke bande hain ahl-e-alam nahin koi ba-wafa jahan mein na kijiye faisla abhi ye 'nasir' ke imtihan se pahle