is tarah baithe ho kyun be-zar se bhar gaya dil rahat-e-didar se ashk kya dhalka tere rukhsar se gir pada hun jaise main kohsar se dar khula to meri hi jaanib khula sar patakhta rah gaya diwar se ek din khamosh ho kar dekhiye lutf gar uthne lage takrar se dekh lo ye zard aankhen khushk hont puchhte ho haal kya bimar se qadr kijiye faiz jis jis se mile saya-e-diwar hai diwar se kal mubaada ho yahan viraniyan dar raha hun garmi-e-bazar se jhut chalta hai magar ek aadh bar ai qasida-khwan hazar takrar se bik rahi hai zindagi ke mol maut jaiye le aaiye bazar se mangte hain wote is par tantana pech-o-kham nikle nahin dastar se band kar t w ki khabren be-khabar chal koi column suna akhbar se dosti ki mahfilen qaem rahen ye dua hai apni palanhaar se tujh mein 'ahmad' aib hain lakhon magar wasta hai tera kis sattar se