kisi ko jahan mein hai gham se mafar kya hai dariya to is mein na honge bhanwar kya nibhate ho rishte magar fasle se zamane pe rakhte ho gahri nazar kya har insan se jhuk jhuk ke milne lage ho khudai ka nashsha gaya hai utar kya mujhe rahbar karwan ka bana kar nikaloge koi purani kasar kya tera ishq jo chahe karwa le warna dariche ko koi banata hai dar kya khafa meri naghma-sarai se kyon ho musalle pe rahte ho tum raat bhar kya shuaen nikalti hain sheron se 'ambar' chadhate ho lafzon pe tum aab-e-zar kya