is tarah se jashn-e-shiraaza hua phir ghazal ka sher ek taza hua khwab kitne bhi hasin hon khwab hain nind se jage to andaza hua sare gham chup-chap dakhil ho gae dil mein jaise chor darwaza hua aabla-pa mein thakan yun zam hui dard jaise dard ka ghaza hua aaj phir marham lagaya aap ne aaj mera zakhm phir taza hua nind ki aankhon pe jab dastak hui band phir palkon ka darwaza hua zindagi jina bhi 'khalid' aaj-kal jaise in sanson ka khamyaza hua