sahab-e-fasl-e-gul hai barg-e-awara nahin hai wo chalo mana kisi ki aankh ka tara nahin hai wo charagh-e-rahguzar hai rasti hai us ki fitrat mein khalaon mein bhatakne wala sayyara nahin hai wo dukanen mat sajao qimti jazbon ko mat becho ghazal ka phul hai kaghaz ka pushtara nahin hai wo hum apni pyas le kar gham ke sahra mein bhatakte hain hamein kya hai agar dhaara hai ya dhaara nahin hai wo ye bechaini zara si mitha mitha dard thoda sa sharar-e-rang ki tamsil hai para nahin hai wo uga sakta hun lafzon ki zamin se lala-e-mani ki mere zehn mein jo kuchh hai angara nahin hai wo use mein jaanta hun sab usi par jaan dete hain 'ayaz-e-azmi’ aakhir tumhein pyara nahin hai wo