umr-bhar chaara-e-junun na hua ab ye kya sochiye ki kyun na hua nahin malum kyun tabiat mein aaj rone se kuchh sukun na hua kahin wo mail-e-karam hi na hon muskurae to gham fuzun na hua hum piyen bhi to kya piyen ye mai bhar gaya jam lala-gun na hua shayad ab ke baras hai khatm junun fasl-e-gul mein mujhe junun na hua ishq ka zikr sher mein kyun hai ye to 'ali' gham-e-darun na hua