is tariqe ko adawat mein rawa rakhta hun main apne dushman ke liye harf-e-dua rakhta hun main main faqiri mein bhi ahl-e-zar se behtar hi raha kuchh nahin rakhta magar nam-e-khuda rakhta hun main main kabhi tanha nahin hota sar-e-kunj-e-chaman wo na hon to hath mein dast-e-saba rakhta hun main main ne kam khoya siwa paya hai kar-e-ishq mein dil jahan tha ab wahan ek dil-ruba rakhta hun main jaane kab aa jae wo sahba misal-e-fasl-e-gul is liye virana-e-dil ko saja rakhta hun main