is ujde shahr ke aasar tak nahin pahunche muarrikhin dil-e-zar tak nahin pahunche tamam umr masafat mein kat gai apni magar hanuz dar-e-yar tak nahin pahunche pati padi hain tahen soch ke samundar ki kai guhar lab-e-izhaar tak nahin pahunche kai tarashne ke darmiyan tut gae tamam sang to shahkar tak nahin pahunche tamam gulshan-e-imkan nisar hai tujh par magar wo phul jo mahkar tak nahin pahunche hum apne ahd ke yusuf zarur hain lekin kunen mein qaid hain bazar tak nahin pahunche 'amir' hum ne salibon ka intikhab kiya magar kabhi kisi darbar tak nahin pahunche