kaise kata ye shab ka safar dekhna bhi hai bujhte diye ne waqt-e-sahar dekhna bhi hai be-nam chahaton ka asar dekhna bhi hai shakh-e-nazar pe husn-e-samar dekhna bhi hai ab ke use qarib se chhuna bhi hai zarur patthar hai aaina ki guhar dekhna bhi hai ye shahr chhodna hai magar us se peshtar us bewafa ko ek nazar dekhna bhi hai in aansuon ke sath basarat hi bah na jae itna na ro ai dida-e-tar dekhna bhi hai mumkin nahin hai us ko lagatar dekhna ruk ruk ke us ko dekh agar dekhna bhi hai manzar hai dil-kharash magar dil ka kya karen go dekhna nahin hai magar dekhna bhi hai is aas par khade hain ki ek bar 'yusufi' us ne zara palat ke idhar dekhna bhi hai