isa ki qum se hukm nahin kam faqir ka arini pukarta hai sada dam faqir ka khubi bhari hai jis mein do-alam ki kot kot allah ne kiya hai wo aalam faqir ka sab jhut hai ki tum ko hamara ho gham miyan baba kise khuda ke siwa gham faqir ka hum kyun na apne-ap ko ro lewen jite-ji ai dost kaun phir kare matam faqir ka mar jawen hum to par na khabar ho ye tum ko aah kya jaane kab jahan se gaya dam faqir ka ab hum pe kya guzarti hai aur kya guzar gai kis se kahen wo yar hai mahram faqir ka jab jite-ji kisi ne na puchha to mehrban phir baad-e-marg kis ko raha gham faqir ka ho kyun na us ko faqr ki baaton mein dast-gah hai baalaka 'nazir' puraatam faqir ka