ishq ab meri jaan hai goya jaan ab mehman hai goya jis ko dekho wahi hai garm-e-talash kahin us ka nishan hai goya hai qayamat uthan zalim ki wo abhi se jawan hai goya mange jaenge tujh ko hum tujh se munh mein jab tak zaban hai goya ji bahalne ko log sunte hain dard-e-dil dastan hai goya dil mein kaise wo be-takalluf hain un ka apna makan hai goya hae us aalam-ashna ki nazar har nazar mein jahan hai goya achchhe-achchhon ko phans rakkha hai zal-e-duniya jawan hai goya is sukhan ka 'jalil' kya kahna 'mushafi' ki zaban hai goya