takalluf nahin humse zeba tumhaara

takalluf nahin hum se zeba tumhaara
tumhaare hamare hamara tumhaara

liya dil to lo jaan bhi kyon rahe ji
tamanna hamari taqaza tumhaara

ye taswir-chehra utar kyon gaya hai
khinche kis se ho kya hai naqsha tumhaara

na tir aah ka dast-e-qudrat mein apne
na shamshir-e-abru pe qabza tumhaara

chale hum to hasrat hi le kar raqibo
mubarak rahe tum ko pyara tumhaara

raqibon se ladne ka qissa na ponchho
fazihat hamari tamasha tumhaara

na tahrir-e-khat hai na bait abrwin hain
ye mazmun hamara wo fiqra tumhaara

main apne hi jazbe ka qail tha lekin
ghazab hai meri jaan ghussa tumhaara

mujhe aur se kya main aashiq hun pyare
tumhaara tumhaara tumhaara tumhaara

sulaiman hun par yun agar khak ho kar
amal mein ho naqsh-e-kaf-e-pa tumhaara

khafa hote kyon ho ki rakhta hai pyare
na jazba hamara na jalwa tumhaara

'nasim' is chaman mein gul-e-tar ki surat
phate kapde rakhte hain parda tumhaara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close