jo ho saka na mera us ko bhul jaun main parai aag mein kyun ungliyan jalaun main wo ab ke jae to phir laut kar na aae kabhi bhulae aise ki phir yaad bhi na aaun main sukhi rahe wo sada apne ghar ke aangan mein is ek dua ke liye hath ab uthaun main nai ruton ke jhamele hon us ka zad-e-safar shikast-e-arz-e-tamanna pe gungunaun main uthae naz wahi jis ki wo amanat hai na ruthe mujh se na ja kar use manaun main wo roti aankhon kare chaak meri taswiren ek ek kar ke sabhi us ke khat jalaun main utha ke dekhe wo khidki ke reshmi parde to chahne pe bhi us ko nazar na aaun main hawa ke hath bhi paigham wo agar bheje khayal ban ke bhi us ke nagar na jaun main wo hadsat ki hiddat se jab pighalne lage to chand ban ke khunuk dil mein jagmagaun main