ishq aur itna mohazzab chhod kar diwana-pan band upar se tale tak sherwani ke batan ishq ki diwangi waz-e-junun ke sath thi chaak-e-dil bhi sil gaya jab se siya hai pairahan dil ko muzhda ho ki wo bhi khair se jati rahi aah se pahle jo kuchh mahsus hoti thi dukhan un ko jalwat ki hawas mahfil mein tanha kar gai jo kabhi hote the apni zat se ek anjuman shakh-e-gul ban kar lachakte hain hawas ki bazm mein ye wahi hain jin mein tha talwar ka sa bankpan khush-numa lafzon ki rishwat de ke raazi kijiye ruh ki tauhin par aamada rahta hai badan marg-e-shahr-e-arzu ka kar chuke matam 'salim' aao in lashon ko ab lafzon ka pahnaen kafan