raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai

raqs-e-shabab-o-rang-e-bahaaran nazar mein hai
ye tum nazar mein ho ki gulistan nazar mein hai

ek raushni se aalam-e-dil jagmaga utha
wo hain ki aaftab-e-darakhshan nazar mein hai

ahl-e-junun se kijiye ab chaak-e-dil ki baat
daman nazar mein hai na gareban nazar mein hai

un ke karam se badhne lage dil ke hausle
andaz-e-iltifat-e-farawan nazar mein hai

sau husn le ke aai hai duniya-e-arzu
aaraish-e-hayat ka saman nazar mein hai

badhti hi ja rahi hain meri be-qarariyan
jab se kisi ki zulf-e-pareshan nazar mein hai

nazzara-e-jamal kiye der ho chuki
ab tak farogh-e-bazm-e-hasinan nazar mein hai

halqa bana ke nach rahi hain tajalliyan
kis mah-jabin ka chehra-e-taban nazar mein hai

shayad usi ke dam se hai qaem ummid-e-zist
ek jaan-faroz sham-e-farozan nazar mein hai

hum bhi nigah-e-dost se na-ashna nahin
har inqilab-e-gardish-e-dauran nazar mein hai

'muztar' ko apne bakht-e-rasa par hai aaj naz
aaqa-'hasan' ki bazm-e-gul-afshan nazar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close