ishq aur nang-e-arzu se aar

ishq aur nang-e-arzu se aar
dil-e-khuddar par khuda ki mar

aur kya dekhna hai zauq-e-nazar
husn aur aaine se ho bezar

shikwa-e-jaur hai na shauq-e-karam
yun bhi aana tha ahl-e-dil ko qarar

shad ab kyun nahin dil-e-maghmum
husn ko khud jafa se hai inkar

lutf aisa ki kuchh nahin takhsis
jaise sab ke liye khula bazar

ek bol ek dam sauda naqd
aur na kuchh bhaw-taw ki takrar

sikka-e-kam-ayar dagh-e-jigar
puchh us ki nahin kahin zanhaar

sang-rezon ke dam uthte hain
para-e-dil hai muft bhi bekar

sard-mehri hai bich ki dallal
jis ka donon taraf se hai bewpar

rahan hai us ke nam jo kuchh hai
husn ka naz ishq ka pindar

gharaz is rabt se hue hain baham
ishq be-kaif o husn kam-azar

ganthte hain phate hue jazbaat
ho ke sayyad bane 'salim' chamar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close