ishq hun to sham-e-husn-e-yar ka parwana hun husn hun to main charagh-e-kaba-o-but-khana hun meri hasti kar-farma hai jahan tak dekhiye rind hun main jam hun main saqi-e-mai-khana hun koi diwana mujhe kahta hai saudai koi waqia ye hai ki mahw-e-jalwa-e-jaanana hun main hun un ki ibtida aur wo hain meri intiha khatm ho jo husn par wo ishq ka afsana hun han jala de khak kar de phunk de hasti meri tu to sham-e-husn hai main to tera parwana hun tum ho aalam tum se hai aalam magar ba-in-hama tum ho aalam-ashna main tum se bhi begana hun main hudud-e-shara se bahar nahin 'bismil' magar kahne do jo kuchh kahun diwana hun diwana hun